Success can tempt the mind to pride, but failure humbles the heart. From pride we learn to stand tall, but from humility we learn to grow.
Koh-e-saaroon ki unchaayoon se kya darna
Aab-e-sharoon ki nazaqatoon pe kya marna
Wahan pe toh hisaab liya jayega amaloon ka
Uss din masnooyii daryaaftoon ka kya karna
Qadam jahan bhi rakhe, takaluf se hua saamna
Zameen ke unn anjaan rastoon pe kya theherna
Apne agar dukh bhi dein toh tum sabar karna
Bewajah chooti chooti baatoon pe kya ladna
Unn ki ungli pakad kar rakhna uss bheed mein
Harr taraf ajnabi honge, kahin tum na bichadna
Woh teer chalata gaya aur mera lahoo behta gaya
Maut dene wale zakham ko marham kya lagana
Unn ki yaad mein kayii shab guzar gayee hafi
Meri aankhein ban chuki hai paani ka jharna
Comments
Post a Comment