A successful life and a successful career often begin with a successful failure. Failure is not a setback but a stepping stone that teaches resilience, shapes character, and paves the way for lasting success.
Bandishoon ko mitaaya jaa sakta hai
Gairoon ko apna banaya jaa sakta hai
Bas apna tasavvur badal ke toh dekho
Haqq ke liye lahoo bahaya jaa sakta hai
Uss samandar mein jaane se kya darna
Kagaz ki kashti ko chalaya jaa sakta hai
Wahan jaa ke kahin tum badal na jaana
Shaitaani logoo ko uljhaaya jaa sakta hai
Registan mein nadi agar sukhi bhi mile
Pyaase ko paani pilaaya jaa sakta hai
Kahin chaand chup jaaye kaale badaloon se
Andheroon mein shama jalaya jaa sakta hai
Woh ped agar mewah-e-hayat ka hasool ho
Uss nayaab phal ko khaaya jaa sakta hai
Sunsaan raste mein agar hafi ki laash mile
Usse qabar mein dafnaaya jaa sakta hai
Comments
Post a Comment